Você está na página 1de 1

Aap, aap kya jaane mujhko samajte hai kya? Main to kuch bhi nahi.

Is kadr pyar itni badi bheed ka main rakhunga kahan? is kadr pyar rakhne ke kaabil nahi Mera dil meri jaan mujhko itni mohabbat na do doston mujhko itni mohabbat na do doston Soch lo doston is qadr pyar kaise sambhalunga main Main to kuch bhi nahi Pyar .. Pyar ik shaks ka bhi agar mil sake to badi cheez hai zindagi ke liye Aadmi ko magar ye bhi milta nahi ye bhi milta nahi. Mujhko itni mohabbat mili aapse .. Mujhko itni mohabbat mili aapse .. ye mera hak nahi meri takdeer hai main zamaane ki nazron main kuch bhi na tha .. main zamaane ki nazron main kuch bhi na tha meri aankhon main ab tak woh tasveer hai. Is mohabbat ke badle, main kya nazar doon Main to kuch bhi nahi. Izzatain shohratain chahatain ulfatain koi bhi cheez duniya main rahti nahi aaj main hoon jahan kal koi aur tha .. aaj main hoon jahan kal koi aur tha Ye bhi ek daur hai woh bhi ek daur tha Aaj itni mohabbat na do doston .. Aaj itni mohabbat na do doston ki mere kal ki khatir na kuch bhi rahe Aaj ka pyar thoda bacha kar rakho .. Aaj ka pyar thoda bacha kar rakho mere kal ke liye Kal kal jo gumnaam hai .. kal jo sunsaan hai .. kal jo anjaan hai ..kal jo veeran hai Main to kuch bhi nahi hoon .. Main to kuch bhi nahi

Você também pode gostar