Khemay mein alam aaya hai, kohraam hai barpa Darya pa hai Abbas-e-dilawar ka janaza Athara.................................................. Is darja Sakeena se thah, sharminda alamdar Sheh laa na sakey apne baradar ka janaza Athara.................................................. Aye kul ke madadgaar madad karne ko aaow Shabbir se uth-ta nahy, Akber ka janaza Athara.................................................. Asgher ki taraf dekh ke, yeh kehti thi bano Kin aankhon se dekhoo'n main guletar ka janaza Athara................................................. Paamal hua dasht mein ghoro n ke suuo n se Kis tarha uthay Qasim-e-muztar ka janaza Athara................................................. Parh jaayein na yarab kaheen, Zainab key nigaahein Teero n pa hai rakha hua Sarwar ka janaza Athara................................................. Kya zulm hai tapti hui reti pa paraa hai Be-goro kafan sibte-payambar ka janaaza Athara................................................. Jub dafn hua Fatima sar peet rahy theeh Shabbir binay saakiy-e-kausar ka janaza Athara................................................. Bano ne kahaa teer hain pay-vast badan mein Dheere se uthaana mere shauhar ka janaaza Athara................................................. Zainab ne kahaa sar se, mere chhin gayee chadar Taareeqiye shab mein uthaa, maadar ka janaza Athara................................................. Zainab zara Bano ke kalejay ko sambhaalo Shabbir ke haatho'n pa hai, Asghar ka janaza Athara................................................. Us bhai se zindaa'n ki museebat koi poochay Jis bhai ke haatho'n pa ho, khwahar (sp?) ka janaza Athara................................................. Sarwar ki sadaa aati hai, chotti si lehed se Laaow mujhe de do mere dukhtar ka janaza Athara................................................. Ishrat main bayaa'n kaise karoon kaise uthaa thah Maqtal ki zamee se shahe besar ka janaza Athara.................................................