Você está na página 1de 2

Kamoshi

Woh shaam kuchh ajeeb thi, yeh shaam bhi ajeeb hai Woh kal bhi paas paas thi woh aaj bhi kareeb hai Woh shaam kuchh ajeeb thi, yeh shaam bhi ajeeb hai Woh kal bhi paas paas thi woh aaj bhi kareeb hai Woh shaam kuchh ajeeb thi Jhuki hui nigaahon mein, kahin mera khayaal tha Dabi dabi hansi mein ik, haseen saa gulaal tha Main sochta tha, mera naam gunguna rahi hai woh Main sochta tha, mera naam gunguna rahi hai woh Na jaane kyon laga mujhe, ke muskura rahi hai woh Woh shaam kuchh ajeeb thi Mera khayaal hai abhi jhuki hui nigaah mein Khuli hui hansi bhi hai, dabi hui si chaah mein Main janta hoon, mera naam gunguna rahi hai woh Yahi khayaal hai mujhe, ke saath aa rahi hai woh Woh shaam kuchh ajeeb thi, yeh shaam bhi ajeeb hai Woh kal bhi paas paas thi woh aaj bhi kareeb hai Woh shaam kuchh ajeeb thi.

Anand
Kahin door jab din dhal jaye Sanjh ki dulhan badan churaye Chupke se aaye Mere khayaalon ke aangan mein Koi sapnon ke deep jalaaye Kabhi yun hi jab hui bojhal saansen Bhar aai baithe baithe jab yun hi aankhen Kabhi machal ke pyar se chal ke Chhuye koi mujhe par nazar na aaye

Kahin door... Kahin to yeh dil kabhi mil nahin paate Kahin pe nikal aaye janmon ke naate Thami thi uljhan bairi apna man Apna hi hoke sahe dard paraaye Kahin door...

Kal aaj aur Kal


Bhanwre ki gunjan hain mera dil Kab se sambhaley rakkha hai dil Tere liye tere liye Tere liye tere liye Mujhe kab se thi pyar ki justjoo Meri zindagani mein hain tu hi tu Main aya hoon duniya mein tere liye Mere dil men jhoome teri aarzoo Bhanwre ki gunjan hain mera dil Kab se sambhaley rakkha hai dil Tere liye tere liye Tere liye tere liye Gagan se bhi ooncha mera pyar hai Tujhipar mitunga yeh ikraar hai Tu itna samajh le mere humsafar Tere pyar se mera sansaar hai Bhanwre ki gunjan hain mera dil Kab se sambhaley rakkha hai dil Tere liye tere liye Tere liye tere liye

Você também pode gostar