Você está na página 1de 1

Chalo Ek Baar Phir Se Ajnabi Ban Jaayein Hum Dono Na Mein Tum Se Koi Umeed Rakhoon Dil Nawaazi

Ki Na Tum Meri Taraf Dekho Ghalat Andaaz Nazron Se Na Merey Dil Ki Dharhkan Larhkharhaaye Meri Baaton Mein Na Zaahir Ho Tumhari Kash Makash Ka Raaz Nazron Se Taaruf Rog Ho Jaye To Us Ko Bhulana Behter Taaluq Bojh Ban Jaye To Us Ko Torhna Acha Wo Afsaana Jisey Takmeel Tak Lana Na Ho Mumkin Usey Ek Khoob Soorat Morh De Kar Chorhna Acha Tumhain Bhi Koi Uljhan Rokti Hai Pesh Qadmi Se Mujhey Bhi Log Kehtey Hain Ke Ye Jalwey Paraaye Hain Merey Hamraah Bhi RuswaaiyaaN Hain Merey Maazi Ki Tumhaarey Saath Bhi Guzri Hoyi Raaton Ke Saaye Hain Chalo Ek Baar Phir Se Ajnabi Ban Jaayein Hum Dono

Você também pode gostar