Você está na página 1de 1

Kala Chand, Matyala Falak, Kaalay Kalotay Taray he(n)

Khwab kisi ka, Ta'abeer kisi ki, yeh kon se Pehray walay he(n)
Sooraj ki Kirne(n) Kaali he or Dharti Zulm me jakri he
Par suna he Is Dharti k Khwabi baray hi Allah Walay he(n)
Lutnay ke Shoqeen bohat hen Is Dharti k Baasi Sub
Barso(n) se Lut'tay aaey hen, pr Ab bhi Damri walay he(n)
Pehray Daar Kaana he or Zindan me Saray Andhay he(n)
Lekin Yaro Tamashbeen to Saray Aankhon walay he(n)
Boorhay Babay ne Khans Khans kr Mujh ko Kahaani sunai thi
Abbas Yaar woh Log to Hum se bhi Qismat walay he(n)
Abbas

Você também pode gostar