Você está na página 1de 3

HADEES e ASHRA MUBASHRA ki haqeeqat !

Ehl e Sunnat k han is hadees ko bohot


ehmiyat di jati hey, yeh hadees itni mashoor
he k Masjid e Nabwi mein bhi likh kr lagayi
gayi hey. Hadees kuch yun he
" Abubakar, Umer, Usman, Ali a.s, Talha,
Zubair, Abdur Rahman bin Off, Saad bin Abi
Waqas, Saeed bin Zaid or Abu Ubedah bin
Jarrah yeh das ( 10 ) afrad jannati hein."
( Masnad Ahmad bin Hambal )
Ab jo sawal zehan mein peda hota he woh
yeh he k kis tarah mumkin he k jin logo ko
Jannat ki bisharat dey di gayi ho or woh
baad mein apas mein jang karty phirein?
Jesey k Talha o Zubair ne Ayisha ki sarbarahi
mein Ali a.s se jang ki. Jis ki wajah se kayi
log marey gaye, jab k Quran kehta he ," Jo
bhi kisi Momin ko amdan qatal kareyga woh
dozakhi he or hamesha is mein rahey ga."
( Surah Nisa, Ayat 93 ). Is ayat k pesh e nazar
Jang e Jammal mein jo khoon kharaba huwa
uskey zimmey dar ya to ALI a.s hein ya Talha
o Zubair . Or 3no ka taluq Ashra Mubashra

sey he.
Ab rahy bat k kon zimmey dar he or kon nhy
to ALI a.s k barey mein farman e Rasool
s.a.w.w he," Ali a.s Haq k sath he or Haq ALI
a.s k sath, YA ALLAH j.j tu Haq ko udher mor
dey jidher ALI a.s mur jaaein."
" YA ALI a.s ! Tumhari jang meri jang he,
tumhari Sulah meri Sulah he."
" Jis ne ALI a.s ki pervi ki us ne meri pervi ki,
jisne ALI a.s ki mukhalifat ki usne meri
mukhalifat ki."
Isi bina per Jang e Jammal mein ek taraf Haq
( ALI a.s ) tha to dusri taraf batil ( Talha o
Zubair ) or batil ka Jannat se koi taaluq nhy .!
Abdur Rahman bin Off jis ne Umer ki wafat k
baad ALI a.s per talwar uthayi takey Usman
ki bait k liye razi kia jaa saky. Usman usey
munafiq kehty they.
Abubakar o Umer jo k sabab e shahadat BIBI
FATIMA s.a baney or akhri dam tak BIBI ne in
dono hazrat se kalam na kia.
Saad bin Abi Waqas se jab pucha gaya k
Usman ko kis ne qatal kia? Jawab dia k

Ayisha ki talwar ne jisey Talha ney tez kia.


Kia siwaye ALI a.s k koi Jannati kehlaney ka
mustahiq he ?? Hargiz nhy!!!
Lihaza yeh hadees sanad k lihaz se kamzor
he or yeh Muaviya k dor mein rivayat karda
hadees he, kyu k is k ravi bhi khud Abdur
Rahman bin Off or Saeed bin Zaid hein. Isko
Khilafat e Muaviya mein Saeed bin Zaid ne
Kufa se rivayat kia he.
Muaviya k dor mein to wesey bhi jhooti or
man gharat ahdees ka bazar garam tha.
Isi liye yeh HADEES ASHRA MUBASHRA bhi
jaali or ghari hui he .!

Você também pode gostar