Você está na página 1de 2

A song of Life

(from a scene of cell in action)


Maano jeevan pey eak film
Ki shooting chal rahi ho
Protoplasm naam ki team
Usey shoot kar rahi ho
Cytoplasm ho site jahan par
Yey Scene ho raha ho
Nucleus ho director aur
Baaki sab organelle actor
Harmones messenger boys
Enzymes hon technicians
Vitamins baney helpers unkey
Minerals playback singers
Nature likh likh ke storey
Baja baja key gong
Naach naach kar khushi sey
Fir fir Gaey life ka song
D.N.A ki script mey ho play
Aur Nucleus they directions
mRNA key maadhyam sey
tRNA padh padhkar unko
sunaaye unhein fir sab ko
ribo too hero ki acting kartaa
jaaye
bankar ke halwai protein ka
halwa pakaaey
mito ban heroine breathing dance
karti jaey
aur apni acting sey is play mein
jaan foonkti jaey
ER karey tayaari tarah tarah ki
Golgi makeup wali banker unki
Touch up Kar kar protein nai nai

packup karey kit fir vo khushikhushi


ATP ki currency mein ho
Investment tamaam
Well planned iskey hon,
saarey Intzam
Aur producer Mr Ishwar
Karen ye kaam tamaam
Santosh Ratan
-------------------------------------------------------------------------------------------------------NB: Ribo=Ribosome----Protein bananeywala organelley (yani kosh
ka bhitri upang)
Mito =Mitochondria---breathing kria ka Kendra (inside cell as
upang)
ER = Endoplasmic reticulum----kosh mein bicha nalika jaal
processing Kendra
Golgoi apparatus = finishing touch deney wala aur packer
Breathing dance == breaking dance;

Você também pode gostar