Você está na página 1de 3

http://www.meraforum.com/archive/index.php/f-65.

html

Ik dua di aas ch saari raat jaage Par koi taara ambro tutya na Chura ke nazar langh gaye kolo di Ohna haal vi saada puchhya na Badi muddat ton reejh si kujh aakhan di Par koi manya na koi rusya na Assi dil tey hath rakh takde rahe Ohna da turda kadam koi rukya na Ohna de bullaan te haase khid de rahe Tey saade nain o paani sukya na Ik Milan di aas rahi dil vich Tey issi aas ch jeevan mukya na

2. tujh ko aate hi nahi chuppne ke andaaz abhi mere seene mein hai larzan teri avaaz abhi (larzan=trembling) us ne dekha hi nahi dard ka aagaaz abhi ishq ko apni tamannaon pe hai naaz abhi tujh ko manzil pe pahunchane ka hai daava ham-dam mujh ko anjaam nazar aata hai aagaaz abhi kis qadar gosh-bar-avaaz hai khamoshi-e-shab koi naala ke hai fariyaad ka dar-baaz koi (gosh=ear, naala=loud cry, dar-baaz=open door) mere chehre ki hansi rang-e-shikasta mera tere ashkon mein Tabassum ka hai andaaz abhi (rang-e-shikasta=color of defeat)

3. nts. tumne bhi thukra hi diya hai dunia se bhi door huye apni ana ke saare sheeshe aakhir chakna-choor huye (ana self, ego) humne jin par ghazlein sochi unko chaha logon ne hum kitne badnaam huye the woh kitne mashoor huye tark-e-wafa ki saari kasmein unko dekh ke toot gai unka naaz salamat thehra hum hi zara majboor huye (tark-e-wafa end of faithfulness, relationship, naaz pride) ek ghadi to ruk kar poocha usne to ahwaal magar baki umar na mud kar dekha hum aise magroor huye (ahwaal condition) ab ke unki bazm mein jane ka Mohsin gar izn mile zakham hi unki nazar guzaarein ashq to na-manjoor huye (bazm mehfil, gahtering, izn allowance, ashq tears)

- -

4. kuch to hava bhi sard thi kuch tha tera khiyal bhi dil ko khushi ke saath hota raha malaal bhi [malaal=sorrow] baat woh aadhi raat ki raat woh pure chaand ki chaand bhi ain chet ka us pe tera jamaal bhi [chet=name of a month, jamaal=beauty] sab se nazar bacha ke woh mujh ko aisa dekhte ek dafa to ruk gai gardish-e-maah-o-saal bhi dil to chamak sakega kya phir bhi taraash ke dekh lo sheeshagaran-e-shahar ke hath ka yeh kamaal bhi [taraash=chisel/polish (stone), sheeshagar=glazier/one works with glass] us ko na pa sake the jab dil ka ajeeb haal tha ab jo palat ke dekhiye baat thi kuch muhaal bhi [muhaal=difficult/impossible] meri talab tha ik shaksh woh jo nahi mila to phir haath dua se yun gira bhool gaya sawaal bhi shaam ki nasamjh hava puuch rahi hai ik pata mauj-e-hava-e-kuu-e-yaar kuch to mera khiyaal bhi us ke hi baazuon mein aur us ko hi sochte rahe jism ki khvahishon pe the rooh ke aur jaal bhi

Você também pode gostar