Você está na página 1de 1

Aa dekh mere gazi Aa dekh mere gazi, uncha hai alam tera Dil sine me jab tak hai

bhulega na gham tera ik waqt wo aayenga, Zainab ki duwa bankar Har gar me saja honga, abbas alam tera Ajati hai Zehra bhi Zainab bhi ziyarat ko Jab aath muharam ko ut tha hai alam tera Tabut jab ut tha hai shabbir ka ay gazi Tabut ke age bhi chalta hai alam tera Wo kon se sadme the sheh toot gaye jis se Ik dard tha zainab ka aur doosra gham tera Parcham ka pharera tha ya aas thi zainab ki Zainab ke kaleje se gham kaise ho kam tera Bazar me zinda me darbar me har lamha Zainab ki to sanso pe he naam rakam tera Jab beh gaya sab paani tab aas teri tooti tha sine ke andar ya mashkize me dam tera Har saal Moharram ki jab aathwi aati hai Hum hazari karte hai uth-ta hai alam tera Bahte hue paani me tasweer-e-Sakina thi Dam de diya dariya par, uthha na kadam tera Jaan baali Sakina me, dil mashq me atka tha Kis tarah se niklega ab seene se dam tera

Você também pode gostar