Você está na página 1de 1

gair-maujoo hasraten, husn-e-butaan karta hai....

bam-e-rafaqat ke deewane hum, wo pareshan karta hai...-[gair maju= disbalanced]


[husn-e-butaan=lover as statuue of love]
[baam-e-rafaqat=responsibility towards love]
dikhta hai maahtaab me, kabhi taab e aaftaab me
rang dikha ke apne hume, hairaan karta hai
dard ki hikayatein humari sunta nahi
bachkani si apni bate, suboho shaam karta hai
hota chot ka andaza humari , usko kyu akhir nahi
tareefein jo gairo ki wo sare aam karta hai
kya faayda socho aise ishq ka jara sa
jo maut ke saye me, har shaam palta hai
faisla har unka dil se mana hai magar
na-insaafi kabhi kabhi, dilo jaan karta hai
sawal-e-vasl pe batein idhar udhar ki karna
duniya se jane kyun itna, naatvan darta hai
[waqar=prestige]
[natwan= weak]
badi gahri han khoob usne mohabbat karaai humse,
samajh par aata nahi, ki khud humpe kitna marta hai
kaun kahta hai hath humare ishq me khali rahe
khushiyo.n se na sahi ba-mudaam siskiyon se
wo daman to bharta hai- mera daman to bharta hai
[mudaam=continually]
"amar"
30-sep-2010
thursday

Você também pode gostar