Você está na página 1de 1

alam e azal ada hua hai, ishq ke khel me

tankeeh-e-fazl ada hua hai, ishq ke khel me


[azal=eternity, everlasting ]
[tankeeh=enquery]
[fazl= excellence]
wo wakt aur tha, jo maksood hote the dilawar
laagri ka ab to, fatwa hua hai ishq ke khel me
wali-e-ishq ki ragbato pe kya kahen
marseeha har dam ada hua hai, ishq ke khel me
[wali-e-eishq=master of love]
[marseeha=song sung on death]
uske naqsh-e-kaf-e-paa, jehan me har taraf hai
humse jo juda hua hai, ishq ke khel me
[naqsh-e-kaf-e-paa=footprints]
muhaj-e-hasad tak hoti nahi, yaghiyat ki kya kahen
muztaribi ka kya alam, ada hua hai ishq ke khel me
[muhaj e hasad=process toards enemousity]
[yaghiyat=rebel, enemy]
kya kya fana hua hai ishq ke khel me
bata na payenge hum harfo.n k mel me

Você também pode gostar