Você está na página 1de 27

Angraizi

donyaan ki behtarein
zoban nahain
Maqsood Hasni
Abuzar Barqi Kutab'khana
Aguest 2016

Angraizi donyaan ki behtarein zoban nahain

Hum jis ehhad say gozar rahay hain wo angraiz aur


os ki zoban angraizi ka hai. Angraiz kay chailay
chamtoon aur gamashtoon nay yah ta'asar aam kar
diya hai kah angraizi zoban kay bagher taraqi karna
mumkin hi nahain. Natija e kar pehli jamat say
angraizi ki taleem ka silsala shuro ho giya hai.
Taqribun 1835 say bar-e-sagher angraizi gozida hai
aur yahaan kay basi jo baray zabardat yohdha
jafa'kash mehnati aur honar'mand hain, intahaee
koshesh kay bavajood is qilay ko fata nahain kar
pa'ay. Ab eak hi surat nazar aati hai kah joon'hi
bacha paida ho ossay amrika kay kisi nursing house
main bhajwa diya ja'ay ta'kah woh wahaan na'siraf
angraizi sikh sakay bal'kah os kalcar ko bhi apna
sakay. Halaat to yah batatay hain kah aatay
barsoon main:

1- Bhook kay sabab bachoon ko paida hotay mar


diya ja'ay ga.
2- Log bhook piyas andhairay dehshat jabr waghera
kay khoof say khud'kushi karnay
par majboor ho jaein gay.
3- kamzoor taboon kay bachay taleem ka khaab
daikhna bhi gonah samjain gay aur
aaqaoon ki zaminoon aur kar'khanoon par kaam
karin gay. Ghaliban yahhi aaqaoon
ki tamana aur marzi hai kah kama'ay gi dunyaan
khaein gay hum.
4- Chori dakay mar dhaar aur haira phairi aisay
paishoon say wabasta ho jaein gay.

Amli sata par daikh lain bara taira saal parhnay aur
saray mazamein main kamyabi hasal karnay kay
bavajood angraizi main fail ho janay kay sabab
talib-e-ilm taleem'yafta logoon ki saf main dakhal
nahain ho pata. Chori ko qanoon jurm qarar daita

hai laikin talib-e-ilm kiya os kay walaidain aqarib


aur sar'parast hazraat bhi choor darwazay par
dastak daitay hain. Naqal roknay ki surat main
bacha un'parh rehta hai aur os kay bara taira saal
aur dusray saray mazamein main kamyabi gharat
ho kar reh jati hai. Naqal roknay ki taraf tovajo di
jati hai aur naqal bhi angraizi kay parchay walay
din hoti hai jab'kah baqi din samooth chaltay hain.
Hazaar (1000) bookay pani kay nikal lainay say pani
pak aur saaf nahain ho sakta jab'tak kotta khu say
na nikala ja'ay ga. Sochnay ki baat to yah hai kah jo
angraizi parhatay hain oon ko angraizi aati hai?!
Sara kaam to gaideoon kay saharay chal raha hai.

Sada badshi Allah Sahib ki hai bar-e-sagher main


bhant bhant kay log aatay rahay tab bhi yahi kaha
jata tha kah hakam ki zoban kay bagher taraqi
nahain ho sakay gi. Wo chalay gay oon ka door
khatam ho giya. tarjihaat main her bar tabdli hoti
rahi. Sabqa jabr kay sabab yahaan kay logoon par

taraqi kay darwazay band rahay. Taraqi gher molki


hakam kay gamashtoon had'haramoon, auroon ki
kamaee par mooj karnay waloon aur moqa
parastoon nay ki hai. Woh auroon ki nisbat
aasmani makhlooq rahay. Oon kay gharoon aur
daftroon main kabhi andhaira nahain howa. Ohain
aish kay sab moqay mayasar aa'ay. Mehnat'karoon
aur kamoon kay hissa main mayosi bai'basi'
bai'kasi, bai'chargi aur tangi sakhti aee.

Waqt badal raha hai. aatay kal ko angraizi kay sath


bhi wohi ho ga jo pehli hakam zobanoon kay sath
howa. Jis tara aaj koee arbi farsi ya yonani nahain
bolta ya likhta bilkul issi tara angraizi bhi ga'ay
waqtoon ka afsana ho gi. Khuda kay liay talba ko
apni zoban main sochnay parhnay aur likhnay ka
moqa dijiay. Yah qoom bari zahein aur mehnati
hai, dinoon main taraqi karay gi. Kisi gher zoban
main wo bhi apnay molak main rehtay howay
socha nahain ja sakta. mein kisi zoban say boghaz

nahain rakhta. Zoban koee bhi ho wo to mehz


izhaar ka zariya hai is kay siwa kuch bhi nahain.
Zoban to insani khayalaat ehsasaat aur
mashahidaat kay izhaar kay liay shakas ki ongli
pakarti hai. Yahaan olta moamla chalta aa raha hai,
shakas ko zoban ki ongli pakarna parti hai.

Ab mein angraizi ki batoor namona eak doo funni


yaeni lisani khamioon ki taraf aata hoon aur mein
is hawala say her kisi say goftagu karnay ki
pozishan main hoon:
1- Angraizi ki ibtadae aawazain izhaar kay hawala
say na'kafi hain.
2- Nahaet ahum aawazain chay aur sheen is main
mojood nahain hain.
3- Marakab aawazoon ka nazaam kamzoor, dohra,
naqas aur pachida hai.
Ab zimun numbar 3 kay hawala say chand misalain
bhi malahza farma lain:

sheen kay liay das ya das say ziyada marakab


aawazain istamal main aati hain jab'kah yah
marakab aawazain dosri jaga koee aur aawaz daiti
hain. sheen kay hawala say misalain malahza hoon:
1- ch
cliche nietzoche, Fitche, charade, chauvanism
2- ce
croce
3- ci
facial precious, special, social, ancient, apperciate,
chicago
4- sh
shift, sheet, shirt, shawal, shrink, ship, shop, shade,
shelve
5- si
asia, malaysia, tesion, demension, inpulsion
6- ti

action, mention, residentional, confidentional


essential potential, ititial, admition
7- ssi
mission, permission, discussion, procession,
session
8- ssu
issue, assure, pressure
9- su
sugar, sure, insurance
10- sch
schedule, schizophrenia

Chay kay liay tu ya ch marakab aawazain istamal


main aati hain:
tu (chay/chu) picture (pikcher), nature (nachar),
mixture (mixchar),
actual (akchal), punctual (punkchual), habitual

(habichual),
torture (torcher) attitude (attichud), culture
(kachar), vertual (virchual)
fortunate (forchunate), future (fuchar)
laikin her jaga tu ki yah surat barqarar nahain.
maslan: tuseday (teozday)
ch ko bhi chay ki aawaz kay liay istamal kartay
hain. maslan:
chest, cheat, chit, cheep waghera
ch marakab khay ki aawaz bhi daita hai:
boch, munich waghera
sheen ki aawaz bhi daita hai:
cliche nietzoche, Fitche, charade, chauvanism
waghera
kaaf ki aawaz bhi daita hai:
school, chemical, chemist, chasm, chem waghera
Kaaf kay liay teen ya teen say ziyada marakabaat

ka istamal hota hai. maslan


k
work, kit, skin, neck, skull, pink, kid
c
crown, cold, calf, cough, cramp, cave, cook, cock
city, civil waghera main seen (s) ki aawaz daita hai.
K aur s ki mojodgi main c kay honay ka koee jawaz
nahain banta.
social, facial precious, special, social, ancient
waghera main i kay milan say sheen ki aawaz paida
karta hai
ch school, chemical, chemist, chasm, chem
sheen cliche nietzoche, Fitche, charade,
chauvanism
chay child, chest, cheat, chary (che re), chaser (cha
sor)istry
khay munck, boch

Bawar rahay sheen, chay aur khay aawazain


angraizi main mojood nahain hain.
K ki mojodgi main ch kay honay ka koe jawaz
nahain banta. Gharaz aisi bisioon aawazoon kay
hawala say khamiaan mojood hain jin kay sabab
yah kehna kisi tara thek nahain kah angraizi bari
ala zoban hai aur is kay bagher taraqi karna
mumkin hi nahain.
_________________
Mon May 03, 2010 7:27 am

waleednadan
Dubai

In my opinion language is for communication. no


language is better or worse than other. English is
considered to be necessary for progress simply
because now it s become kind of international
language. Most of the books and knowledge
available in it.
P gal
www.forumpakistan.com)

Dr Maqsood Hasni
Punjab

1- Language is for communication


Aap nay sola aanay sach farmaya, zoban siraf aur
siraf rabtay aur izhaar ka eak moassar tarein zariya
aur vasila hai. Yah ossi ki hai jo ossay:

a. Bolta hai
b. Likhta hai
c. Parhta hai
d. Samjhta hai

Zarori nahain her koee in charoon omour main


maher ya zabar'dast salahihat rakhta ho. Charoon
main se kisi eak se motalaq ho, ossay os zoban ka
khanda shakhas tasleem karna paray ga aur is main
koee boraee ya ghalti nazar nahain aati. Is hawala
say mojoda tadadi rikard ko ghalt qarar day kar
zobanoun main shara khandgi main azafa samjhna
chahiay.

Zoban ossi ki hai jo ossay kisi bhi hawala say rabtay


aur baat ki jan'kari kay liay istamal main lata hai.
Zoban shakhas kay jazbaat, ehsasaat aur khayalaat
ka izhaar karti hai lihaza:
Zoban ka koee mazhab nahain

Zoban her qisam alaqaee taqseem se bala'tar hoti


hai
Zoban shakhas ki baat/khayaal se juri hoee hoti
hai kha wo shakas kisi bhi alaqa ya garoh say
motalaq ho.
Goya zoban wohhi kuch biyan karay gi jo shakhas
ki marzi aur munsha ho gi.
Issi tara wo lehjay main bhi bolnay walay kay
aalat-e-notaq aur moavan aalat-notaq ki
marhoun-e-mint hoti hai.
Zoban inshara kay hawala say bila
tafreeq-o-imtiyaz, shakhas ko shakhas kay qareeb
lanay ka behtarein zariya hai. Ta'hum hum'khayali
na honay ki surat main shakhas, shakhas say dour
chala jata hai ya ho sakta hai. Is main zoban ka
koee qasoor nahain hota, qasoor alfaz kay andar
mojood mafaheim ka hota hai, jab kah mafaheem
shakhas ki fikr se juray hotay hain.Is ki bhi dou
suratain aur sathain hoti hain:
a. Alfaz kay mafaheim ko kisi dousray zaviay say

daikha aur samjha giya hota hai.


b. Baat khahi hi ghalt ya phir mokhtib ki marzi
munsha ya zavia-e-nazr kay bar'akas ki gaee hoti
hai.

2- No language is better or worse than other


Yah point dou hissoon main taqseem karna paray
ga:

Awal. Better
Better zoban wohhi kehla sakti hai jo behtar izar
kar sati ho aur izhar main kisi qisam ki rokawat
paida na ho. Rokawat ki kaee vajo ho sakti hai.
1- Zakhira-e-alfaz mehdoud ho
2- Aawazoon ka nazam behtarein na ho
3- Lachak'dar na ho
4- Social na ho

5- Her qisam kay lehjay walay shakhas ka sath na


daiti ho
6- Alaat-e-notaq os ki aawazoun ko nikalnay main
diqat ka shaker Ho jatay houn.
7- Sakht naram gram mithay waghera lehjay
ikhtayar karnay kay qabal na ho
8- Aawazoon ka tabadli nazam better na ho
9- Kisi aawaz ko nikalnay kay liay marakab
aawazain bana parain to oon say paida honay wali
aawaz asal kay qareeb tarein na rehti ho.
10- Eak hi aawaz kay liay ziyada marakbaat ka
mostamal hona:
a. Bohat bara noqs hota hai.
b. Talafaz kay moamla main pachidgiaan paida ho
jati hain.
11- Likhnay parhnay kay hawala say kharabi ki
suratain nikalti houn.
12- Sikhnay main aasan na ho

13- Sikhtay samay sikhnay walay ki dilcaspi baqi na


rehti ho
14- Motbadlaat ki tadad ziyada na ho
15- Eak hi lafz kay mukhtalif maeni hotay hain.
Jomlay main matluba maeni wazay na hotay houn
16- Omomi boul chaal main lafzoon ki fitri adaegi
sonnay walay ki sama'at par girani sabab banay.
17- Istalahaat ka zakhira wafar na ho aur naee
istalahaat qaboolnay ya phir gharnay par qudrat na
rakhti ho.
18- Bolnay, samjhnay, likhnay aur parhnay waloon
ki tadad ziyada na ho.
19- Eak hi baat kehnay kay liay mukhtalif dhang aur
tour apnay ki ehliat na rakhti ho.
20- Lisani nazam aur garaimar kay asoul pachida
houn
Gharz aisi bohat sari batain hain jo better aur na
better say alaqa rakhti hain.

Doem: Worse
Aap ki yah baat bhi ghalt nahain balkah 100%
darust hai kah koee zoban bori nahain hoti. Woh
achi hai kayoon'kah izar ka zariya hai aur shakhas
ko shakhas ke qareeb lati hai. Haan os main kahi
gaee baat ko bora ya bhala kaha ja sakta hai.

3- English is considered to be necessary for


progress
Aap ka yah point kisi bhi gher janib dar
maher-e-lisanyaat ko hazam nahain ho ga aur na'hi
koee angraizi kay elawa zoban bolnay wala issay
qaboul karay ga. Yahi qoul Arbi, Farsi, Turki, Pushto
waghera zobanoun kay zamanoon main kaha jata
raha hai. Her hakam zoban kay liay yahhi kaha jata
raha hai laikin jab iqtadaar khatam hota to na'siraf
hakam sakrein say ghaeb ho jata hai balkah os ka
moashi, tehzibi, saqafti aur zoban kay bala'tar
honay ka dawa milyamait ho kar reh jata hai.

Aaj aap is liay English is considered to be


necessary for progress keh rahay hain kah
angraizi ka dour doura hai aur yah amrika bahadar
kay kuch alaqoun aur gora haous ki zoban hai.
Aatay waqtoun main yah sab khatam ho ja'ay ga.
Aisi hota aaya hai aur yah koee naee baat na ho gi.

Aap angraizi ka lisani mota kar daikhain, aap ko


mairi is baat say inkaar nahain ho sakay ga kah
Angraizi donya ki behtatein zoban nahain hai
Mairi aap say ba'sad ehtaram iltamas hai kah
mairay is mazmoun ka dobara sanjidgi say motala
farmaein aur phir koee natija akhaz farmaein.

4- Now it (English) become kind of international


language

Yah baat aap amrika bhadar ki mojoda hokam rani

aur askari bala'dasti kay sabab keh rahay hain.


Khud west main angraizi bolnay waloon ki tadad
ziyada nahain. Bohat saray maghrabi apni
qomi/alaqaee zoban ko tarji daitay hain.

Chein walay chini main kaam chalatay hain.


Angraizi say tarjamay ki surat main istafada kartay
hain. Is hawala say angraizi ko bain-ul-aqwami
rabtay ki zoban kehna ziyadti ho ga bal'kah issay
amrika say rabtay ki zoban kehna ziyada monasab
ho ga.

Hamari apni aur west ki bohat sari bibiyaan


Hindustani likh parh ya boul nahain saktein laikin
Hindustani zoban kay daramay aur filmain daikhti
hain. Onhain samjh bhi aati hai. Wo apni boli janay
wali zoban main mafhoom bhi bata sakti hain.
Hindustani (Hindi+Urdu) is waqt donya ki dosri bari
likhi, parhhi, boli aur samjhi janay wali zoban hai.
Lisani nazam aur aawazoun kay ziyada honay kay

hawala say donyan main pehle number par hai.


UK aur Kanaida main dosri bari zoban samjhi jati
hai.
Donya kay kisi bhi molak main chalay jaein
Hindustani say aaghi rakhnay waloun ki maqoul
tarein tadaad mil ja ay gi Lihaza angraizi ko zabar
dasti international language ka naam day diya giya
hai.
Hindustani say mota'alaq log is waqt donya ka sab
say baray khareed'dar hain. Kha'am maal bhi
yahan hi say ziyada baramad hota hai. Choun'kah
zati mafadaat kay tehhat is say mota'alaq log
bai'hiss, qomi, alaqae aur lisani asbiat se mehroom
aur apni zoban ki vosatoun say na'waqif ho ga'ay
hain. Yah shaed nahain jantay kah asri iqtsadyaat
main in ki ehmiat aur haisiat kya hai.

5- Most of the books and knowledge available in


it

Aap ka yah point intahae kam'zoor hai. Angraizi


bichari to khud dosri zobanoon ki mahtaj hai lihaza
kitabain aur malomaat ki baat to bohat dour ki
baat hai. Agar os kay pas kuch hai to east aur west
ki zobanoun kay tafael hai. Marakab aawazoon say
mota'alaq koee lafz angraizi ka apna nahain hai.
Sabqay lahqay baramda hain. Movanas mazakar
aur reshtoun kay liay alag say lafz mojood nahain
hain. Loght to aap kay pas ho gi hi, zara takleef
farma lain aur daikh lain kya surat-e-haal hai.
Is waqt Hindustani main:
Mazhabi literature sari zobanoun say ziyada hai.
Her bari aur hawalay ki kitab ka tarjama ho chukka
hai.
Sheri asnaf sukhan main angraizi Hindustani ka
moqabla nahain kar sakti.
Koee Ghalib nikal kar dikha dain.
Aqtasadyaat say mota'alaq kitaboun kay tarajam
ho chukay hain.

Is zoban say motalaq logoun nay bhi bohat kuch


likha hai.
Her qisam ki istalahaat aap ko mil jaein gi ya aap
ghar sakain gay.

Hamara rovaeya yah hai kah cheez par usa made


ka laibal chispaan ho to hum bhag kar khareed
laitay hain chahay os main kisi gori ka haiz aaloda
pishab hi kayoun na ho.

Chini jo donya ki sab say ziyada boli janay wali


zoban hai ko daikh lain kitaboun ya phir malomaat
ki kami nazar nahain aa'ay gi.
Japani ko daikh lain bala ki malomaat afrooz zoban
hai.

Angraizi kay pas Hafiz, Romi, Sadi,, Iqbal, Khansa,


Goete, Taigour, Feng Su Feng, Bodliar, Talsae,
Mopsaan, Sartar waghera jaisay ehal-e-zoban

kahan hain?!

Aap ehal-e-Qalam hain khuda kay liay logoun tak


sach laein. Angraizi ki zulfoun kay aseer ho kar na
reh jaein. Batour zoban angraizi bori nahain. Bas
dosri zobanoun ki tara eak zoban hai, is say ziyada
kuch nahain.

Is ki poja kay sabab pata hai kya ho raha hai?!


bara taira saal parhnay kay baad bhi talib-e-ilm
unparh tasawar hota hai. Angraizi siraf daftri zoban
hai. Wo is liay kah hakim aur mahkoum kay
darmiyan bara chota honay ka ehsas zinda rahay
warna donya ki dosri bari aabadi issi main lain
dain, tabadla-e-khayaal, likhaee parhae waghera
karti hai.

Aakhri baat is say motalaq log bala kay zahein aur


mehnati hain. Maghrab main digriyaan karnay

walay tadad main kahein ziyada log hain. Wahan ki


univearastiaan damagh in ka nachoor kar in kay
hawalay kagh ka eak gidar parwana kar daiti hain
aur yah yahaan aa kar fakhar mehsous kartay hain.
Woh yah nahain samjh patay is eak gidar parwanay
kay badlay kya kuch day aa ay hain. Aap likhain kah
yahaan kay hakim apna talimi nazam mazbout
banaein ta'kah zahanat eak gidar parwanay kay evz
yahaan say motaqil na ho.

Agar aap lisani taqabil kay hawala say koee baat


karnay kay liay khahaan gay to mein dast basta
hazar houn.
_________________
Fri Jul 30, 2010 11:56 pm

RAKhan

What is objective here,

World has become a global village, people are


respected based upon their deeds not based upon
their language.
We need to get rid of imaginary animosity, let's be
part of a friendly planet.
_________________
Read more:
http://www.forumpakistan.com/angraizi-donya-ki-behtatein-zoban-n
ahain-hai-2-t57063.html#ixzz4FhG62N52

Angraizi
donyaan ki behtarein
zoban nahain

Maqsood Hasni
Abuzar Barqi Kutab'khana
Aguest 2016

Você também pode gostar