Você está na página 1de 2

How to Get Pregnant in

Hindi
Pregnancy Tips in Hindi
How to get pregnant in Hindi? Ye aaj ek bahut bada sawal hai. Actually hamare samaj me
pregnancy jaise bato pe log jyada bat nahi karte. Yha tak ki ek hi family me log aisi problems
aapas me discuss nahi karte. Aur log adhe adhuri knowledge ke sath pregnant hone ki koshish
karte hai.
Kai log isme success bi ho jate hain and kuch log success nahi ho pate aur is vishay me kafi log
doctor se bi puchne se katrate hain. Kaise aasani se pregnant hua jaye? Pregnancy ka sahi samay
kya hai? Logo ko aise swalo ka jawab pane ke liye bada struggle karna padta hai.
Aaj ham aapko is vishay me thoda detail se batayenge ki kaise aap aasani se pregnancy dharan
kar sakte hai. Aur is vishy me aapko doctor se bi jarur ray leni chahiye kyunki kai bar problems
kuch aur hoti hai aur ham sahi problem ka pahchan nahi pate. To chaliye ham aapko batate
pregnancy ke bare me kuch badhiya tips-

How to Get Pregnant in Hindi


Ovulate Period ka Pata Kare-

Pregnant hone ke liye sabse jyada jaruri bat hai Ovulation time ka pata hona. Ovulation time
aisa time hai jab women ke andushy(Ovary) se ande nikalte hain. Ek masik dharm(month cycle)
me ek hi bar ovulation period aata hai and usi time aapko apne partner ke sath phsysical relation
banana hai.
Apna ovulation time janne ke liye aapko apne period ka time confirm hona bahut jaruri hai. Jab
aapka next period aane ka time ho use just 12 se 16 din phle ka time ovulation period hota hai.
Lekin ye tarika keval un ladies ke liye jinki menstruation cycle yani masik dharm 30 days ka hai.
Agar aapka masik dharm ka samay irregular hai to aap please kisi acche doctor se jankari jarur le.
Jaise aapka next period agar 30 September to hai to isse 12 se 14 days pahle ka time aapka
ovulation time hai.
Physical Relation Ka Sahi Smay

Ab aapko pata chal gaya ki aapke ovary se eggs kab nikalte hai. To ab aap is time me apne
partner ke sath physical relation bana sakte hain. Aur aapko bata de ki ovulation time ke shuruaati

3 days sabse jyada fertile days hote hain yani in 3 shuruaati dino me garbh dharan ki sambhavna
sabse jyada hoti hai.
Women ki ovary se nikalne wale ande only 24 hours tak hi jinda rhte hai and male ka sperm
female ke ander 7 days tak jinda bana rhta hai. To doctor advice dete hai ki aap ek din chor k
eagle din physical relation jarur kare. Yani 72 hours me ek bar physical relation hona jaruri hai.
Agar aap rojana physical hona chahte hai to ye aap par depend hai but rojana physical relation
karne ne sperm count down ho jata hai jo ki aapki fertility me problem kar sakta hai. Isliye ek din
chorkar hi physical relation banaye.
Note:- Physical relation ke duran oil ya koi lubricant ka use karna bi aapke sperm count ko kam
kar deta hai.
Kya Kre aur Kya Na Kre-

Preganacy ke liye aapki body ka fit and healthy hona behad jaruri hai. Otherwise aapke hone
wale bacche par iske negative effect ho sakte hain. Agar aap koi drugs, nasha ya smoking karte
hai to please ye sabse dur rahe. Bahut jyada coffee pina bi nuksan de sakta hai.

Thoda exercise kare, morning walk kare and agar ho sake to meditation karne ki koshish kare.
Males ke liye smoking karna sperm count ko bhut kam kar deta hai isliye smoking se dur hi rhe.
Tobacco, Cigarette na piye.
Apne weight ko control rkhe. Jyda weight hona bi pregnancy me problem karta hai.
Garm pani se na nahaye because garm pani aake sperm ko nuksan deta hai.

Pregnancy ke Liye Sahi Age

Agar aapki age 40 se jyada hai to aapko doctor se salah leni chahiye. Agar aapki age 35 40 hai
to aap pregnancy ke liye try kar sakte hai and agar 6 month tak success nahi hue to kisi expert se
checkup karaye ya advice le. Agar aapki age 35 se kam hai to aapko pregnancy ke liye koi
problem nahi honi chiye. Aap easily pregnancy me success ho sakte hain.
Agar aap 1 saal se jyada se try kar rhe hai but aap success nahi ho paa rhe to please aap doctor se
consult kariye. Kyunki ye fertility problem bi ho sakti hai.
Friends ye jankariyan hamne internet ka kai resource se dekhkar collect ki hai and ummid hai ye
aapke liye kargar sabit hongi.
Disclaimer: All information are good but we are not a medical organization so use them with
your own responsibility.

Você também pode gostar