Você está na página 1de 2

Pet Saaf Kaise Kare 10 Aasan Upay aur Nuskhe Hindi Mein

kyakyukaise.com /pet-saaf-kaise-kare-gharelu-upay-aur-nuskhe-hindi-mein/
By Govind
Pet Saaf Kaise Kare: Hum apne aas pass aksar bahut se log dekhte hai jo pet se judi kisi na kisi bimari se
pareshan hote hai jese acidity, pet mein gas, jalan aur pet mein dard hona. In sab ke ilava ek pareshani aur hai jisse
har dusra vyakti pareshan hai aur vo hai pet saaf na hona. Ye samasya tab aati hai jab qabz ki shikayat ho aur jor
lagana par bhi stomach clear na ho. Is article mein hum aap ko kuch aasan se gharelu upay aur nuskhe bata rahe
jiske niyamit paryog se pet saaf na hone ki samaya se chutkara pa sakte hai. Aaiye jane kabz ka ilaj kaise kare,
constipation relief treatment tips in hindi .
Sabse pahli baat agar aap ko subah uthane ke baad toilet jane ki jarurat mehsus na ho to aap ko apne daily routine
aur diet mein kuch jaruri badlav kare, jese exercises yoga aur khane mein friuts salad hari sabjiya.
Jane Pet Mein Gas ka Gharelu Upchar
Jane Acidity aur Jalan ke Upay

Pet Saaf Kaise Kare :


Constipation Natural Treatment in
Hindi

1. Raat ko sone se pahle 1 chammach shahad


gungune paani mein mila kar pine se stomach
clear ho jata hai.
2. Nariyal paani pine se bhi pet saaf hota hai.
Har roj subah khali pet nariyal paani ka sevan
karne se kaafi fayda milta hai.
3. Constipation ke ilaj ke liye jaruri hai ki sharir mein ache bacteria maujood ho, iske liye aap din mein 1 se 2 cup
dahi ka sevan kar sakte hai.
4. Ek glass halke garam paani mein 1 chammach shahad thoda sa namak aur nimbu ka ras mila kar subah khali pet
pine se pet saaf ho jata hai.
5. Ek chammach methi raat ko sone se kuch der pehle 1 glass paani ke sath lene se subah ko pet clear ho jayega.
6. Raat ko sone se pahle 1 glass gungune doodh ke sath alsi ke beezo ka sevan karne se bhi pet saaf ho jata hai.
7. Qabz ki pareshani se bachne ke liye khane mein hari pattedar sabjiyo ka sevan kare aur salad fruits bhi khaye,
inme fibre ki maatra adhik hoti hai. Papita aur amrood khane se pet clear karne mein madad milti hai, iske ilava
palak ka juice aur pattagobhi ka juice pine se bhi fayda milta hai.
8.Raat ko sone se pahle 1 glass gungune doodh mein thoda castor oil (arandi ka tel) mila kar pine se agli subah ko
pet ache se clear ho jayega aur kabz se chutkara milega.

1/2

9. Pet saaf karne ke upay mein trifla ka paryog utam hai. 5 se 6 graam trifla churan 200 graam gunugune doodh
ke sath pine se kabz ka ilaj hota hai.
10. Baking soda jise hum meetha soda bhi kehte hai, ye bhi kabz kholne aur pet saaf karne mein asardar hai. Aadha
glass gungune paani mein aadhe se ek chammach tak baking soda mila kar sevan kare.

Kai baar paani ki kami hone se pet mein mal sukhne lagta hai jo kabz ka karan banta hai. Agar aap
ko aksar pet saaf na hone ki shikayat rehti hai to paani adhik matra mein le. Bhojan karne ke turant
baad paani na piye chahe to bhojan karne se aadha ghanta pahle paani pi sakte hai. Iske ilava
subah khali pet 1 glass gunguna paani jarur piye.

Kabz se Bachne ke Upay


1. Mansik tanav lene se bhi kabz jesi samasya ho jati hai, isliye is samasya se bachne ke liye khud ko tension
se door rakhe.
2. Sharir ko pura aaram na milna bhi pet saaf na hone ki ek wajah hai, achi aur bharpur neend lene se sharir ko
aaram milega aur qabz se rahat milegi.
3. Chay coffee mein caffine ki matra adhik hoti hai jinke sevan se digestion system kamjor hota hai, isliye chay
aur coffee kam piye.

Pet saaf karne ke upay karne mein niyamit yoga aur vyayam se bhi madad milti hai, aap kabz kholne ke liye baba
ramdev ke bataye hue yogasana kar sakte hai. Agar aap kisi parkar ki ayurvedic medicine lena chahte hai to kisi
ayurveda vaid se salah le kar baba ramdev patanjali store ya fir kisi pansari ki shop se le sakte hai.

Pet ki Bimariyo ka desi ilaj


Dadi Maa ke Gharelu Nuskhe
Rajiv Dixit Ayurvedic Upchar in Hindi
Dosto pet saaf kaise kare, constipation relief treatment tips in hindi ka ye article aap ko kais alga hame comment kar
ke bataye aur agar aapke pass kabz ka ilaj ke gharelu upay aur desi nuskhe hai to hamare sath bhi share kare.

2/2

Você também pode gostar