Você está na página 1de 3

Aaj milkar bhi unse na kuch baat ki LYRICS AAH KARTA HOON TOH

SAYYAD KHAFA HOTA HAI

http://lyricification.blogspot.in/2015/04/aaj-milkar-bhi-unse-na-kuch-baatki.html

Sufi lyrics

Lyrics of qawwalis, naats and other sufi kalams


Saturday, 25 April 2015
aaj milkar bhi unse na kuch baat ki
aaj milkar bhi unse na kuch baat ki
haye majbooriyan mere haalaat ki

kuch keh na sakun


chup reh na sakun

nahi maaloom tha kis kis tarah laachar karta hai


dil usko jaanta hai bewafa pae pyar karta hai

mere hi saamne wo pehlu


mein dushman ke baithe hain

suna pehle mujhse kissa e gham phir zubaan kaati


hamesha ke liye keh kar ke rakh di dastaan meri

bas itni si doori ye main hoon ye manzil


kahaan aa kar phoote hain mere paaon ke chchale

zabt karta hoon to ghut ta hai mera Kafas mein mera dam
aah karta hoon toh sayyad khafa hota hai

tuni ek kya sab zamaana khafa hai


na koi bhala hai na koi bura hai
ye mere mukaddar ki saari khata hai
ye mana koi waqt e rahat nahi hai
lekin tumse koi shikayat nahi hai

us jagah bazm mein saaki ne baithaya hai hamein


haath phailayein toh jaata nahi paimaane tak

bakhiya jaa ke dil kyun na khulne lage


hijr ki raat phir wo bhi barsaat ki

din kata jis tarah kata lekin


raat kat ti nazar nahi aati

bin piya barsaat mein muhn ko kaleja aaye hai


dil tarap uthta hai jab kaali badariya chchayehai

kissi ki shab e wasl sote kate


kisi ki shab e hijr rote kate
hamaari ye shab kaisi shab hai ya rabb
ke na rote kate na sote kate

allah allah majaz e haqiqat numa


wo bashar hai ke tasvir hai zaat ki

saakiya saakiya jaam de jaam de


sun ke aayein hain shohrat sanapaat ki

aye 'Naseer' unko apna bana lenge ham


koi soorat toh nikle mulaakat ki

Você também pode gostar