Você está na página 1de 1

A : Aashiqui 2

Chahun Main Ya Naa


Lyricist: Irshad Kamil

Tu hi yeh mujhko bata de


Chahoon main ya na
Apne tu dil ka pata de
Chahoon main ya na

Tu hi yeh mujhko bata de


Chahoon main ya na
Apne tu dil ka pata de
Chahoon main ya na

Itna bata doon tujhko


Chahat pe apni mujhko
Yun to nahi ikhtiyaar
Phir bhi yeh socha dil ne
Ab jo laga hoon milne
Poochhoon tujhe ik baar.. o..

Tu hi yeh mujhko bata de


Chahoon main ya na
Hmm.. Apne tu dil ka pata de
Chahoon main ya.. na..

Aisi.. kabhi pehle


Hui na thi khwaahishein
O.. Kisi se bhi milne ki
Na ki thi koshishein..
Uljhan meri suljha de
Chahoon main ya na
Aankhon aankhon mein jataa de
Chahoon main ya na

Mere chhote chhote khwaab hain


Khwaabon mein geet hain
Geeton mein zindagi hai
Chahat hai, preet hai
Abhi main na dekhoon khwaab ko
Jin mein na tu mile
Ni khole honth maine
Ab tak the jo sile
Mujhko na jitna mujh pe
Utna is dil ko tujh pe
Hone laga aitbaar..
Tanha raahon mein apne
Bunti hoon tere sapne
Tujhse hua mujhko pyaar o..
Poochhoongi tujhko kabhi na
Chahoon main ya na
Tere khwaabon mein ab jeena
Chahoon main ya na

Tu hi yeh mujhko bata de


Chahoon main ya na
Apne tu dil ka pata de
Chahoon main ya na

Você também pode gostar