Você está na página 1de 4

Some dialogues from the movie:

Opening Scene:

Man 1: Samarat Chandragupta Maurya, jain dharma apnakar apna rajyapaath, dhan-sampatti aur
ghar parivaar tyaag kar jaa rhe hain..........

Sushim: Dadaji-dadaji,

Chandragupta: Kya hua Sushim??

Sushim: Ashok aapki talvaar lekar chala gya, wo kehta wo uski talvaar hai.

(Chadragupta approach to Ashoka)

Ashok (Child): Aap to jaa rhe hai, par mai aapko ye talvaar nhi le jaane dunga, ye ab meri talvaar hai.

Chandragupta: Ashok, mere putra, Ye talvaar nhi rakshas hai-rakshas, agar ye bahar aa jaaye to ye
khoon maangti hai. Na shatru ko dekhti hai naa mitra ko, kewal khoon, Isliye isse pehle ki ye bahar
aa jaaye, hum ise maar dete hai...(throwing it)..yee maar diya

Conversation of Sushim And Ashok:

Sushim: Kaise ho? Laut aaye aur mile bhi nhi.(hugged each other). Suna kisine tumhe maarne ka
prayatn kia?

Ashok: Haa, kisine mujhko, fir maarne ka praytna kia

Sushim: Kyu, kon tumhe maarna chahega Ashok?

Ashok: Hai koi murkh, jo baar baar chuk jaata hai

Sushim: Sawdhaan Ashok, satru ko murkh samjhna sabse badi murkhta hai.

Ashok: Shatru wo jo saamne talvar lekar khada ho jaaye, na ki wo jo chupkar waar kare.

Sushim: huh..chupkar karein ya saamne se, jo jeevit rha singhasan usika

Ashok:Nhi Sushim, singhasan uska jispe uspar baithne ka sahas ho( ashok sits on throne)

Sushim: Tum bachpan se hi aise ho, jo bhi mujhe accha lagta hai , job hi mai chahta hun, tum bhi
wahi chahte ho....Dadaji ki Talvaar bhi tumne cheen li

Sugatra(his step-brother): Singhasan se uthja Ashok

Ashok:Mujhe uthaao sugatra. (Sugatra attack him but Ashok manages to defend)...Aise nhi
sugatra,aise nhi , singhasan chahiye to use jeeto,,, ladke...sabke saamne.

Sugatra(bravely) :To milna mujhe subah, mai ladunga tumse, sabke saamne.

Ashok: Kal sawere sabke saamne


Sugatra(Angrily): Chain ki neend sona Ashok, tere jeevan ki Antim raat hai ye.

Sushim(laughing): Tu Maraa......Maraa tu (laughing)

Sugatra: Mai ladunga usse.

Sushim: Ladega,Theek hai jaa Lad

Conversation of Sushim, Panditji, Sushim’s mother: (ill Bindusara can’t even talk)

Sushim: Aapka spna tha na ki mai singhasan par baithun...mai vachan deta hun...ek yogya samraat
banne ka praytna karunga....aapko apne sushim par garv hoga

Sushim’s M: Devi(Ashok’s Wife) ko santaan hone ko hai....Sushim, log kahenge Yuvraaj janm le rha
hai....Ashok ka putra singhasan par baithega

Sushim: Huh..log use kabhi sweekar nhi karenge...kyu panditji?

Pandit: Satya vachan...bauddh maa ka putra kabhi singhasan par nhi baith sakta

Sushim’s M: logon ke paas dusra yuvraaj nhi hai sushim....Aur tum...tumhe to kabhi putra nhi ho
sakta

Sushim: Aap hi bataye panditji..ashok ki santaan ke bhagya mai kya hai....(Angrily)...soch vichaar ke
baad uttar dijiyega panditji...Ashok ke putra ke bhagya mai kya hai

Panditji: Ashok ka putra jeevit nhi rahega

Conversation between Ashok and Sushim when ferocious Ashoka comes to the palace to kill
Sushim:

Sushim: Aao Ashoka, Tum aapne bhai vadh karne aaye ho. (Sushim drops his sword) Maar do mujhe.

Ashoka(Angrily): Talvaar uthaao Sushim

Sushim: Tumhari Maa ki mrityu ka kya. Apna Badla lo Ashoka, sankoch kaisa, Kardo Mera vadh.

Ashoka:Talvaar Uthaao Sushim.

Sushim: Tumhari Maa meri ke samaan thi. Tumhare putra ko mai apna putra samjhta, yadi tum
Ashok na hote

Ashok(mildly): Talvaar uthaao sushim

Sushim: Kyu, Tum mujhe haraana chahte ho. ...Nhi Ashok ye sukh mai tumhe nhi dunga. Kehne do
itihaas ko ki Ashok ne Sushim ko Harakar nhi, use maarkar singhasan praapt kia.

Ashok(bit more calmly): Talvaar uthaao, aur lado Sushim

Sushim: Nhi, mai hathyaara nhi tha, tumne mujhe vivash kar diya. Har shadh(Time) mai isi darr mai
jeeta rha ki tum mera singhasan cheen loge. ......Ab singhasan par baithne ke liye tumhe bhi apne
bhai ka wadh karna hoga. Tumhe bhi Sushim Banna hoga Ashok. ...Maaro mujhe, Maaro.....
Singhasan par baithne ke liye bahut sahas chahiye Ashok, apne bhai ka wadh karne ke liye bahut
sahas chahiye ashok... Maaro Ashok..... (Ashok moves his sword and turned around) Mai jaanta hun
Ashok, tum aapne bhai ka wadh nhi kar sakte.... Isliye iss singhasan par tum nhi (Attacking with
knife) mai baithunga.

Virat(Ashoka’s friend) attacked sushim from behind before sushim kill Ashok.

Ashok besides his mother’s corpse

Ashok: Maa...Bolo na Maa. Maa(sobbing) ab to maine wo sab khuch kiya jo tumne mujhse karne ko
kaha tha. Bolo Maa...Bolo na Mujhse....Ek baar bolo...ek shadh(time) ke liye bolo...Agar tumhe khuch
gya to vinaash ho jaayega....(fiercely)sab nasht kar dunga mai..sab nashta kar dunga
mai...Vitashoka(His brother) bol na Maa se mujhse baat karein.(crying then)

Ashok and Virat:

Ashok(pointing sword to man): Tumhe to pta hoga ki sugadhra(his half brother) kaha hai.

Virat:Khuch Nhi batayega ye .....ise khuch nhi pta

Ashok: to fir iska jeevan vyarth hai( and killed the man)

Virat(stopping him) : Bandhuraaj(Friend), ruk jaao ab!

Ashok: Ab ye nhi rukega Virat, kyunki ab mai iss dharti ka sabse mahaan samraat banna chahta
hun...Maharaaz Bindusar se mahaan, maharaja Chandragupta maurya se bada, sabse bada, aur
sushim ne kaha tha ki singhasan per baithne ke liye, mahaaan samraat banne ke liye, wadh to karna
hi padega(killed another one)

Ashok and Vitashok:

Ashok: Kya hua vitashok, tum to kavi banna chahte the, fir ye roop....mai jaanta hunt um kya kehna
chahte ho....atyachaari Ashok...channd(Evil) Ashok......Sun chuka hun...sab sun chuka hun...yehi
kehna chahte ho..

Vitashok: Mai kewal ye batane aaya tha ki aap pita ban chuke hai...

Ashok: Mera putra...

Vitashok: Mahendra..aapka putra...aur Sanghmitra aapki putrid.

Ashok(Smiling): Devi kaha hai Vitashok....(vitashok going back without answering)...mai unka pita
hun vitashok...Devi kahan hai?.....

Vitashok: Aap kewal samraat hain...samraat Ashok

Ashok:Vastra badlne se satya nhi badal jaata Vitashok...aur Yuddh ek satya hai....Yuddh hote
hai....aur yuddh mai ya to jeet hoti hai ya mrityu...aur mai jeeta hun vitashok...mai jeeta hun
Vitashok: Haa aap jeete hain ...vidhwaaho ke aanshu...anaatho ki cheekhe...aur jalti hui laashe...sab
jeet gye hain aap......aap jeet gye

Ashok: (Vitashok going back) Vit...Vitashok...mai jeeta hun Vitashok.....mai..mai jeeta


hun.......Vitashok...

Final Cut after kalinga war:

Ashok (griefing): Aaj maai mahaan samraat ban gya, sabse bada, sab jeet gya mai......huh, sab nasht
kar diya maine, nasht kar diya....kya jeeta mai?....samraat jeet te bhi kya hain...dhan,sampatti
,rajya....mera bhagya samraat se bhi uncha hoga...mera bhagya uss yaatri ka hoga jo apni yaatra
samaapt kar leta hai....aur aaj mai apni yaatra aarambh karta hun...prem ki shaanti ki ahinsa ki!!

Você também pode gostar